Adeel Zaidi

Khaali duniya mein guzar kya karte

Adeel Zaidi

1958
ḳhālī duniyā meñ guzar kyā karte
bin tire umr basar kyā karte
tū ne manzil hī badal dī apnī
ham tere saath safar kiyā karte
ek hī ḳhvāb-e-junūñ kaafī thā
dekh kar baar digar kiyā karte
apnī hī uljhanoñ meñ uljhe the
ham tirī zulf ko sar kyā karte
ham jo dīvāngī meñ kar guzre
aql vaale vo hunar kyā karte
jo kiyā tū ne ḳhudā jāntā hai
ham tire saath magar kyā karte
jabki raste meñ bikharnā hī thā
bāñdh kar raḳht-e-safar kyā karte
jism kā bojh liye lauTe the
shahr vāloñ ko ḳhabar kyā karte
jo kiyā tū ne ḳhudā jāntā hai
ham tire saath magar kyā karte
ḳhud zamīñ oḌh lī ki ham aage
aur be-samt safar kyā karte
Top Urdushayar.com