ḳhālī  duniyā  meñ  guzar  kyā  karte
bin  tire  umr  basar  kyā  karte
tū  ne  manzil  hī  badal  dī  apnī
ham  tere  saath  safar  kiyā  karte
ek  hī  ḳhvāb-e-junūñ  kaafī  thā
dekh  kar  baar  digar  kiyā  karte
apnī  hī  uljhanoñ  meñ  uljhe  the
ham  tirī  zulf  ko  sar  kyā  karte
ham  jo  dīvāngī  meñ  kar  guzre
aql  vaale  vo  hunar  kyā  karte
jo  kiyā  tū  ne  ḳhudā  jāntā  hai
ham  tire  saath  magar  kyā  karte
jabki  raste  meñ  bikharnā  hī  thā
bāñdh  kar  raḳht-e-safar  kyā  karte
jism  kā  bojh  liye  lauTe  the
shahr  vāloñ  ko  ḳhabar  kyā  karte
jo  kiyā  tū  ne  ḳhudā  jāntā  hai
ham  tire  saath  magar  kyā  karte
ḳhud  zamīñ  oḌh  lī  ki  ham  aage
aur  be-samt  safar  kyā  karte