ye  zamīnī  bhī  hai  zamānī  bhī
fitrat-e-ishq  āsmānī  bhī
shart  hai  jaañ  se  jā.iye  pahle
hai  ajab  umr-e-jāvedānī  bhī
tum  ne  jo  dāstāñ  sunā.ī  hai
hai  vahī  to  mirī  kahānī  bhī
kitne  dilchasp  lagne  lagte  haiñ
mere  qisse  tirī  zabānī  bhī
haiñ  zarūrī  bahut  hamāre  liye
ye  fazā  aag  aur  paanī  bhī
ho  ga.ī  ḳhatm  ik  kiran  ke  saath
raat  bhī  niiñd  bhī  kahānī  bhī
mat  inheñ  jāniye  dar-o-dīvār
in  meñ  yādeñ  haiñ  kuchh  suhānī  bhī
in  dīvāroñ  pe  hī  huī  tahrīr
mere  maañ  baap  kī  javānī  bhī
ham  jo  ghar  chhoḌ  kar  chale  aa.e
the  vo  ajdād  kī  nishānī  bhī
lā-makāñ  hī  kā  zikr-e-ḳhair  'adīl'
go  haiñ  qisse  bahut  makānī  bhī