rah-e-hayāt  meñ  jo  log  jāvedāñ  nikle
vahī  vafā-o-mohabbat  ke  tarjumāñ  nikle
ajiib  sehr  kā  aalam  thā  us  kī  mahfil  meñ
zabāñ  pe  naaz  thā  jin  ko  vo  be  zabāñ  nikle
vahāñ  vahāñ  pe  vafā-dāriyoñ  kā  zor  baḌhā
tumhāre  chāhne  vaale  jahāñ  jahāñ  nikle
safar  kī  hasrateñ  niklīñ  bahut  mirī  yārab
magar  jo  dil  meñ  the  armān  vo  kahāñ  nikle
aziiz  yuuñ  to  bahut  haiñ  aziiz  kyā  kahiye
ka.ī  aziiz  magar  mujh  se  bad-gumāñ  nikle
yaqīñ  bahut  thā  mohabbat  pe  tum  ko  apnī  'adīl'
yaqīñ  ke  badle  vahāñ  bhī  faqat  gumāñ  nikle