rah-e-ḳhizāñ  meñ  talāsh-e-bahār  karte  rahe
vo  ek  tarfa  sahī  tum  se  pyaar  karte  rahe
hai  kyā  tamāshā  udhar  ranjisheñ  hī  baḌhtī  rahīñ
ta.alluqāt  hamīñ  ustuvār  karte  rahe
guzar  ga.ī  jo  ghaḌī  lauT  kar  na  aa.ī  kabhī
talāsh-e-shām-o-sahar  baar  baar  karte  rahe
tumhārī  chaah  meñ  jitne  bhī  zaḳhm  ham  ko  mile
mohabbatoñ  meñ  ham  un  kā  shumār  karte  rahe
tirī  anā  pe  hameñ  iḳhtiyār  hī  kab  thā
tamām  umr  tirā  intizār  karte  rahe
'adīl'  log  gharoñ  ko  sajā.e  baiThe  haiñ
faroġh-e-husn  faqat  barg-o-bār  karte  rahe