tū  jo  chāhe  bhī  to  sayyād  nahīñ  hone  ke
lab  hamāre  lab-e-fariyād  nahīñ  hone  ke
us  ke  kūche  meñ  miyāñ  ḳhaak  uḌāte  kyuuñ  ho
tum  se  majnūñ  to  use  yaad  nahīñ  hone  ke
koī  achchhī  bhī  ḳhabar  kaan  meñ  aa.e  yārab
aisī  ḳhabroñ  se  to  dil  shaad  nahīñ  hone  ke
tū  rahe  ham  se  ḳhafā  kitnā  hī  chāhe  lekin
ham  magar  tujh  se  to  nāshād  nahīñ  hone  ke
kār-e-duniyā  ko  haiñ  darkār  hamārī  umreñ
kār-e-duniyā  se  to  āzād  nahīñ  hone  ke
an-ginat  jāgte  chehre  ga.e  miTTī  ke  tale
ab  na.e  zulm  to  ījād  nahīñ  hone  ke
tā-qayāmat  vahī  ik  naam  rahegā  ābād
ham  kabhī  mustaqil  ābād  nahīñ  hone  ke
ḳhaak  ho  jā.eñge  ye  to  hai  muqaddar  apnā
ham  magar  vo  haiñ  ki  barbād  nahīñ  hone  ke
chāhe  namrūd  ho  fir.aun  ho  yā  ki  ho  yazīd
sāhab-e-shajra-o-aulād  nahīñ  hone  ke