jahān-e-ilm  kā  bāb-e-nisāb  hote  hue
bhaTak  rahā  huuñ  maiñ  ahl-e-kitāb  hote  hue
kuchh  aur  bhī  hai  ḳharābī  kī  dūsrī  sūrat
maiñ  ḳhud  ko  dekh  rahā  huuñ  ḳharāb  hote  hue
jo  kaam  dil  ko  mire  fitratan  nahīñ  bhāte
unheñ  maiñ  kar  nahīñ  paatā  savāb  hote  hue
mire  hī  dam  se  hai  jo  kuchh  bhī  is  jahān  meñ  hai
maiñ  kaise  ḳhud  ko  bhulā  duuñ  janāb  hote  hue
'adīl'  jo  the  in  āñkhoñ  kī  raushnī  kal  tak
vo  chehre  dekh  rahā  huuñ  maiñ  ḳhvāb  hote  hue