Adeel Zaidi

sahra-o-dasht-o-sarw-o-saman ka sharik tha

Adeel Zaidi

1958
sahrā-o-dasht-o-sarv-o-saman kā sharīk thā
vo dard kī davā thā dukhan kā sharīk thā
vo kyā samajh sakegā mire ishq kā maqām
jo ruuh ke safar meñ badan kā sharīk thā
dekhī na ham ne jis kī jabīñ par kabhī shikan
vo dil kī ek ek chubhan kā sharīk thā
ik lamhe ko vo aayā tasavvur meñ to lagā
jaise vo saare din kī thakan kā sharīk thā
ḳhāmoshiyoñ se aaj haiñ ham mahv-e-guftugū
vo saath hī nahīñ jo suḳhan kā sharīk thā
allāh us charāġh ko raushan rakhe sadā
jo tīrgī meñ pahlī kiran kā sharīk thā
sairāb kar gayā kisī āñgan ko jo 'adīl'
vo merī pyaas merī ghuTan kā sharīk thā
Top Urdushayar.com