bas  lamhe  bhar  meñ  faisla  karnā  paḌā  mujhe
sab  chhoḌ-chhāḌ  ghar  se  nikalnā  paḌā  mujhe
jab  apnī  sar-zamīn  ne  mujh  ko  na  dī  panāh
anjān  vādiyoñ  meñ  utarnā  paḌā  mujhe
paañv  meñ  aable  the  thakan  umr  bhar  kī  thī
ruknā  thā  baiThnā  thā  pa  chalnā  paḌā  mujhe
apnī  parakh  ke  vāste  tūfāñ  ke  darmiyāñ
mazbūt  kashtiyoñ  se  utarnā  paḌā  mujhe
terī  anā  ke  haath  meñ  the  tere  faisle
tū  to  badal  na  paayā  badalnā  paḌā  mujhe
be-intihā  tazād  thā  donoñ  kī  soch  meñ
kuchh  yuuñ  bhī  rāste  ko  badalnā  paḌā  mujhe
ye  bhī  huā  ki  bā-dil-e-nā-ḳhvāsta  kabhī
zinda  haqīqatoñ  se  mukarnā  paḌā  mujhe
yakjā  rahā  ik  umr  magar  terī  diid  ko
mānind-e-musht-e-ḳhāk  bikharnā  paḌā  mujhe
āġhāz  apne  bas  meñ  na  anjām  hī  'adīl'
ik  zindagī  guzār  ke  marnā  paḌā  mujhe