us  ko  jab  ki  mire  anjām  se  kuchh  kaam  nahīñ
mujh  ko  bhī  ishq  ke  iqdām  se  kuchh  kaam  nahīñ
jazba-e-ishq  na  pahuñchā  sakā  jab  maiñ  us  tak
mujh  ko  ab  nāma-o-paiġhām  se  kuchh  kaam  nahīñ
ghar  meñ  jis  ke  liye  rahtā  thā  vahī  ab  na  rahā
ab  mujhe  ghar  ke  dar-o-bām  se  kuchh  kaam  nahīñ
muntazir  rahtī  thī  har  shaam  tirī  qurbat  kī
tū  nahīñ  jab  to  mujhe  shaam  se  kuchh  kaam  nahīñ
ilm  kā  jaam  dar-e-ilm  se  miltā  hai  mujhe
mujh  ko  to  aur  kisī  jaam  se  kuchh  kaam  nahīñ