Darā.egī  bhalā  kyā  terī  gardish  āsmāñ  mujh  ko
milā  rab  se  duā-e-fātima  kā  sā.ebāñ  mujh  ko
chalī  hai  chhoḌ  kar  tū  kyuuñ  bahār-e-gulistāñ  mujh  ko
ḳhudā  jaane  kahāñ  le  jaa.e  ab  bād-e-ḳhizāñ  mujh  ko
maiñ  shukr-e-rab  kā  qaa.il  huuñ  havā  kaisī  hī  chaltī  ho
pata  āsāniyoñ  kā  de  ga.iiñ  haiñ  saḳhtiyāñ  mujh  ko
jalā  dūñgā  husūl-e-manzil-e-maqsūd  kī  ḳhātir
jalānī  paḌ  ga.iiñ  gar  saarī  apnī  kashtiyāñ  mujh  ko
na  sham-e-anjuman  meñ  huuñ  na  parvānoñ  kā  mela  hai
kahāñ  thā  maiñ  kahāñ  le  aa.ī  hai  umr-e-ravāñ  mujh  ko
sunā  hai  sab  bhulā  baiThe  'adīl'-e-dil-shikasta  ko
na  jaane  aa  rahī  haiñ  shaam  se  kyuuñ  hichkiyāñ  mujh  ko