jis  tarah  chāhiye  kab  kār-e-vafā  hotā  hai
haq  mohabbat  kā  kahāñ  ham  se  adā  hotā  hai
ham  bahut  chāhte  haiñ  amn-o-mohabbat  har  sū
vahī  hotā  hai  jo  manzūr-e-ḳhudā  hotā  hai
mushkiloñ  meñ  bhī  buzurgoñ  kā  vazīfa  ye  thā
achchhe  kāmoñ  kā  to  achchhā  hī  silā  hotā  hai
fitratan  saaz  meñ  āvāz  kahāñ  hotī  hai
ik  zarā  chheḌiye  phir  dekhiye  kyā  hotā  hai
koī  majbūrī  uThā  detī  hai  dīvār-e-anā
apnī  marzī  se  bhalā  kaun  burā  hotā  hai
har  vo  insān  ki  jo  dāvat-e-haq  detā  ho
na  sahī  qibla  magar  qibla-numā  hotā  hai