Sarwar Alam Zar

waqt ke hathon hikayat-e-ana bhul gae

Sarwar Alam Zar

Jabalpur, Madhya Pradesh, India

1935

vaqt ke hāthoñ hikāyāt-e-anā bhuul ga.e

ham vafā bhuul ga.e aap jafā bhuul ga.e

kis ko samjhā.eñ ye samjhāne bāteñ kab haiñ

vasl kab yaad rahā hijr meñ kyā bhuul ga.e

kyā chaman chhoḌā palaT kar nahīñ dekhā us ko

rañg-e-gul bū-e-saman bād-e-sabā bhuul ga.e

bujh ga.ī sham-e-junūñ luT ga.ī bazm-e-yārāñ

ahl-e-dil sozish-e-jāñ hotī hai kyā bhuul ga.e

aisā vīrān huā ka.aba-e-hastī yārab

rah ga.e haath uThe harf-e-duā bhuul ga.e

husn sarshārī-e-andāz-o-adā se guzrā

aur sab ahl-e-vafā rasm-e-vafā bhuul ga.e

kam-ayārī ne ḳhudā-soz banāyā aisā

but to sab yaad rahe ek ḳhudā bhuul ga.e

kaun soche bhalā kyoñ dil nahīñ pāband-e-namāz

jab sar-e-shām azānoñ sadā bhuul ga.e

shahr-e-jānāñ meñ nahīñ pūchhne vaalā koī

kaun ho aa.e ho kyoñ tum yahāñ kyā bhuul ga.e

ḳhuub 'sarvar' tumheñ ummīd-e-karam yaad rahī

kyā sitam hai ki gunāhoñ sazā bhuul ga.e

Top Urdushayar.com