hudūd-e-jāñ  meñ  had-e-nā-rasā  se  aayā  huuñ
maiñ  apne  aap  meñ  lā-intihā  se  aayā  huuñ
chamak  rahī  hai  jabīñ  par  safar  kī  dhuul  abhī
zamīñ  kī  dhund  meñ  raushan  fazā  se  aayā  huuñ
maiñ  kis  kī  aañkh  meñ  ta.abīr  kī  tarah  jāgūñ
sunahrā  ḳhvāb  huuñ  aur  qartaba  se  aayā  huuñ
mirī  hathelī  pe  raushan  najāt  kā  lamha
maiñ  aaj  vādī-e-hamd-o-sanā  se  aayā  huuñ
mujhe  sambhāl  ke  rakh  shahr-e-be-lihāz  ki  maiñ
kisī  faqīr-manash  kī  duā  se  aayā  huuñ
zavāl-e-ahd  to  shāyad  mujhe  na  pahchāne
maiñ  ik  havāla  huuñ  aur  karbalā  se  aayā  huuñ