ik  qatra-e-ma.anī  se  afkār  kā  dariyā  ho
ai  zarra-e-āgāhī  ab  phail  ke  sahrā  ho
rafta  rahe  vābasta  har  haal  darīche  se
fardā  ke  jharokoñ  meñ  maazī  kā  ujālā  ho
ai  bichhḌī  huī  naddī  kis  dasht  meñ  bahtī  hai
phir  jānib-e-dariyā  aa  aur  shāmil-e-dariyā  ho
āfāq-e-bulandī  se  āvāz  ye  aatī  hai
ik  asr  meñ  shāmil  ho  ik  pal  se  alāhada  ho
lamhe  kī  haqīqat  kyā  sadiyoñ  ke  tanāzur  meñ
lekin  jise  tū  chāhe  vo  rashk-e-zamāna  ho
is  dhuup  ke  raahī  ko  anjām  se  kuchh  pahle
ik  aisī  masāfat  de  jis  par  tirā  saaya  ho
aisā  na  ho  vo  māñge  tasdīq  kā  ik  lamha
aur  ham  ne  vahī  lamha  mahfūz  na  rakkhā  ho