mujhe  is  ḳhvāb  ne  ik  arse  tak  be-tāb  rakkhā  hai
ik  ūñchī  chhat  hai  aur  chhat  par  koī  mahtāb  rakkhā  hai
kisī  ke  vāste  taaza  kināroñ  ko  ubhārā  aur
mujhe  sadiyoñ  purāne  shauq  meñ  ġharqāb  rakkhā  hai
jazīre  aur  sāhil  sab  zamāne  ke  liye  rakkhe
mirā  saarā  ilāqa  us  ne  zer-e-āb  rakkhā  hai
sutūn-e-shauq  par  ik  raushnī  sī  paḌ  rahī  hai  jo
charāġh-e-ārzū  koī  tah-e-mehrāb  rakkhā  hai
kisī  ko  to  jahāñ  bhar  meñ  farāvāñ  kar  diyā  us  ne
mujhe  kuchh  soch  kar  is  dahr  meñ  nāyāb  rakkhā  hai