hameñ  us  ne  sabhī  ahvāl  se  anjān  rakkhā
hamāre  aur  apne  biich  parda  taan  rakkhā
kabhī  hadd-e-nazar  meñ  aur  kabhī  imkāñ  se  bāhar
hameñ  to  us  ne  saarī  zindagī  hairān  rakkhā
mirī  parvāz  kī  had  jāntā  thā  is  liye  bhī
mire  uupar  ye  niilā  āsmāñ  nigrān  rakkhā
zarā  ruknā  ki  maiñ  is  bojh  se  āzād  ho  luuñ
ki  tāq-e-dil  meñ  hai  duniyā  kā  kuchh  sāmān  rakkhā
mohabbat  kī  qasam  vo  mujh  se  lenā  chāhtā  thā
so  in  hāthoñ  pe  lā  ke  'mīr'  kā  dīvān  rakkhā