jab  ek  baar  kisī  intihā  pe  jā  Thahre
phir  us  ke  ba.ad  nazar  rāstoñ  meñ  kyā  Thahre
safar  pe  nikle  the  jab  zindagī  giraft  meñ  thī
ma.āl-e-kār  bas  ik  mauja-e-havā  Thahre
ajab  nahīñ  hai  ki  barsoñ  ke  ghup  añdhere  meñ
diyā  jalā.eñ  to  manzar  hī  dūsrā  Thahre
chamak  uThe  kabhī  aa  kar  mirī  hathelī  par
vahī  sitāra  kabhī  āsmāñ  pe  jā  Thahre
mufāhamat  kī  nikaltī  nahīñ  hai  raah  koī
jab  apne  apne  usūloñ  pe  baat  aa  Thahre
ham  ek  aise  dorāhe  pe  aa  chuke  haiñ  ki  ab
qadam  baḌhā.e  to  raste  judā  judā  Thahre
maiñ  apne  saañs  kī  gaThrī  utaar  luuñ  sar  se
hayāt-e-tez-safar  se  kaho  zarā  Thahre