Khaavar Ejaz

charagh-e-shauq jala raat ke asar se nikal

Khaavar Ejaz

1950
charāġh-e-shauq jalā raat ke asar se nikal
safar na rok tilismāt-e-rahguzar se nikal
kabhī to dast-e-hinā.ī se likh visāl kī rut
kabhī to shīsha-e-jāñ TūTne ke Dar se nikal
javāz DhūñD na apnī sadā bikharne kā
hayāt mohr-ba-lab dast-e-chāra-gar se nikal
zarā sī vus.at-e-idrāk meñ na gum ho jā
is imtihāñ se guzar hairat-e-ḳhabar se nikal
tire ḳhayāl meñ huuñ shahr-e-raftagāñ tū bhī
kisī khañDar se ubhar aks-e-bām-o-dar se nikal
zakāt-e-ḳhvāb meñ de dī haiñ maiñ ne āñkheñ bhī
ab ai jahān-e-digar hīta-e-nazar se nikal
nigāh-e-zard meñ ug sabz ḳhvāb kī koñpal
gulāb-e-shāḳh phir ujḌe hue shajar se nikal
bañdhe haiñ shaam sutūnoñ se sub.h ke taare
jamāl-e-yār kisī naqsh-e-motabar se nikal
fasīl-e-shahr pe aks-e-shab-e-ta.assuf hai
najāt-e-ġham kī kiran ḳhema-e-sahar se nikal
Top Urdushayar.com