Khaavar Ejaz

charagh-e-shauq jala raat ke asar se nikal

Khaavar Ejaz

1950

charāġh-e-shauq jalā raat ke asar se nikal

safar na rok tilismāt-e-rahguzar se nikal

kabhī to dast-e-hinā.ī se likh visāl rut

kabhī to shīsha-e-jāñ TūTne ke Dar se nikal

javāz DhūñD na apnī sadā bikharne

hayāt mohr-ba-lab dast-e-chāra-gar se nikal

zarā vus.at-e-idrāk meñ na gum ho

is imtihāñ se guzar hairat-e-ḳhabar se nikal

tire ḳhayāl meñ huuñ shahr-e-raftagāñ bhī

kisī khañDar se ubhar aks-e-bām-o-dar se nikal

zakāt-e-ḳhvāb meñ de haiñ maiñ ne āñkheñ bhī

ab ai jahān-e-digar hīta-e-nazar se nikal

nigāh-e-zard meñ ug sabz ḳhvāb koñpal

gulāb-e-shāḳh phir ujḌe hue shajar se nikal

bañdhe haiñ shaam sutūnoñ se sub.h ke taare

jamāl-e-yār kisī naqsh-e-motabar se nikal

fasīl-e-shahr pe aks-e-shab-e-ta.assuf hai

najāt-e-ġham kiran ḳhema-e-sahar se nikal

Top Urdushayar.com