makāñ  nazdīk  hai  yā  lā-makāñ  nazdīk  paḌtā  hai
kahīñ  aa  jaao  mujh  ko  har  jahāñ  nazdīk  paḌtā  hai
jahāñ  tum  ho  vahāñ  se  duur  paḌtī  hai  zamīñ  merī
jahāñ  maiñ  huuñ  vahāñ  se  āsmāñ  nazdīk  paḌtā  hai
sunā  hai  ik  jahān-e-be-nihāyat  ho  magar  phir  bhī
ye  tai  hai  be-karāñ  ko  be-karāñ  nazdīk  paḌtā  hai
chale  aate  haiñ  ham  ik  dūsre  kī  samt  meñ  varna
tumheñ  sahrā  mujhe  dariyā  kahāñ  nazdīk  paḌtā  hai
na.e  alfāz  rakh  kar  dekhtā  huuñ  kuchh  purānoñ  meñ
ma.ānī  se  mirā  rishta  kahāñ  nazdīk  paḌtā  hai
balā  kī  dhuup  hai  dasht-e-talab  meñ  ai  dil-e-nādāñ
yahāñ  kis  aarzū  kā  sā.ebāñ  nazdīk  paḌtā  hai