vo  mire  hisāb  meñ  intihā  nahīñ  chāhtā
magar  ek  maiñ  huuñ  ki  ibtidā  nahīñ  chāhtā
mire  sehan  par  khulā  āsmān  rahe  ki  maiñ
use  dhuup  chhāñv  meñ  bāñTanā  nahīñ  chāhtā
kabhī  khul  sake  kisī  e'tibār  ke  daur  meñ
mujhe  chāhtā  hai  vo  dil  se  yā  nahīñ  chāhtā
koī  aur  bhī  ho  charāġh  bazm-e-hayāt  kā
sar-e-tāq  rakkhā  huā  diyā  nahīñ  chāhtā
ye  mire  vajūd  kā  mas.ala  bhī  ajiib  hai
jo  maiñ  chāhtā  huuñ  vo  dūsrā  nahīñ  chāhtā