nayā  paimān  raushan  kar  gayā  hai
vo  ātish-dān  raushan  kar  gayā  hai
koī  tāq-e-nazar  meñ  sham.a  rakh  kar
dil-e-vīrān  raushan  kar  gayā  hai
ufuq  par  Dūbne  vaalā  sitārā
ka.ī  imkān  raushan  kar  gayā  hai
mire  kamre  kā  ik  tārīk  gosha
koī  mehmān  raushan  kar  gayā  hai
mire  dushman  kā  hai  ehsān  mujh  par
mirī  pahchān  raushan  kar  gayā  hai
bahut  maddham  sī  thī  āfāq  kī  lau
magar  insān  raushan  kar  gayā  hai