kahīñ  rukne  lagī  hai  kashti-e-umr-e-ravāñ  shāyad
zamīñ  chhūne  lagī  hai  ab  ke  hadd-e-āsmāñ  shāyad
mujhe  us  ne  talab  farmāyā  hai  maidān-e-hastī  se
use  phir  yaad  aayā  hai  koī  kār-e-jahāñ  shāyad
ubhartī  aa  rahī  hai  ek  duniyā  aur  hī  koī
makāñ  ke  saath  miltā  jā  rahā  hai  lā-makāñ  shāyad
badal  dekhūñ  charāġh-e-shauq  se  maiñ  bhī  charāġh  apnā
mere  ghar  se  nikal  jaa.e  isī  sūrat  dhuāñ  shāyad
kiran  Thahrī  nahīñ  hai  ḳhvāb  ke  parde  meñ  bhī  aakar
khulī  hī  rah  ga.ī  thiiñ  ḳhvāb  meñ  bhī  khiḌkiyāñ  shāyad
chalo  maiñ  bhī  koī  saudā  karūñ  is  bār-e-hastī  kā
khulī  ho  bām-e-hast-o-būd  par  us  kī  dukāñ  shāyad
mire  aur  us  ke  biich  ik  dhund  sī  maujūd  rahtī  hai
ye  duniyā  aa  rahī  hai  mere  us  ke  darmiyāñ  shāyad