kabhī  maiñ  chup  kabhī  harf-e-bayāñ  meñ  rahtā  huuñ
maiñ  apne  shahr  kī  har  ik  zabāñ  meñ  rahtā  huuñ
badal  liyā  hai  zarā  ḳhvāb  ke  ilāqe  ko
makāñ  ko  chhoḌ  ke  ab  lā-makāñ  meñ  rahtā  huuñ
maiñ  ek  harf-e-tasallī  huuñ  narm-dil  ke  liye
hamesha  se  nigah-e-mehr-bāñ  meñ  rahtā  huuñ
mujhe  zamīn  pe  har  samt  dar-ba-dar  kar  ke
batā  rahā  hai  ki  maiñ  āsmāñ  meñ  rahtā  huuñ
chalo  ye  maan  liyā  ik  mahak  huuñ  maazī  kī
magar  ye  hai  ki  maiñ  asr-e-ravāñ  meñ  rahtā  huuñ
na.ī  kahānī  mujhe  kyuuñ  gavārā  karne  lagī
purānā  harf  huuñ  aur  dāstāñ  meñ  rahtā  huuñ
subuk  ḳhayāl  nahīñ  huuñ  ki  tere  haath  aa.uuñ
bahut  pare  kahīñ  ḳhvāb-e-girāñ  meñ  rahtā  huuñ