Sardar Genda Singh Mashriqi

kali ghaTa kab aaegi fasl-e-bahaar mein

Sardar Genda Singh Mashriqi

kaalī ghaTā kab aa.egī fasl-e-bahār meñ

āñkheñ safed ho ga.iiñ is intizār meñ

kyuuñ kar qarār aa.e dil-e-be-qarār meñ

tum puure kab utarte ho qaul-o-qarār meñ

tārīk dasht ho gayā āñkhoñ meñ qais

pinhāñ huā jo nāqa-e-lailā ġhubār meñ

aa.e kabhī na phir tujhe sair-e-chaman meñ lutf

baiThe agar aa ke dil-e-dāġh-dār meñ

lāzim nahīñ ki mard musībat meñ ho malūl

ḳhandāñ hamesha rahtā hai gul ḳhārzār meñ

hai ye kisī chashm-e-siyah-mast asar

tauba bhī laḌkhaḌāne lagī hai bahār meñ

hote vahāñ jo 'dāġh' to dillī bhī dekhte

ab kyā kareñge ke us ujḌe dayār meñ

kyā ḳhaak apne dil ko tamannā-e-sher ho

juz ḳhaar kuchh nahīñ chaman-e-rozgār meñ

juz 'dāġh' aaj bulbul-e-hindustāñ hai kaun

kahte haiñ ham pukār ke ye sau hazār meñ

ai 'mashriqī' nasīb na sū-e-duā hai ye

kyā ġham jo jāgtā huuñ shab-e-intizār meñ

Top Urdushayar.com