Sardar Genda Singh Mashriqi

koi us se nahin kahta ki ye kya bewafai hai

Sardar Genda Singh Mashriqi

koī us se nahīñ kahtā ki ye kyā bevafā.ī hai
churā kar dil mirā ab aañkh bhī apnī churā.ī hai
uTho ai mai-kasho ābād mai-ḳhāna kareñ chal kar
zarā dekho to kyā kaalī ghaTā ghanghor chhā.ī hai
butoñ ke ishq se ham baaz aa.e haiñ na ā.eñge
nahīñ parvā hameñ dushman agar saarī ḳhudā.ī hai
nashāt-e-dil ko dushman ke banā.eñge usī se ham
vo kahte haiñ tirī āh-e-rasā terā havā.ī hai
bigaḌ kar ġhair se tum aa.e ho ham ye samajhte haiñ
hamāre sāmne be-vaj.h kyuuñ sūrat banā.ī hai
har ik mushkil se mushkil kaam bantā hai banāne se
magar bigḌī huī qismat kisī ne kab banā.ī hai
ḳhabar sun kar mire marne kī vo kahne lage hañs kar
kisī dushman ne shāyad ye ḳhabar jhūTī uḌaa.ī hai
guloñ ko naġhma-e-bulbul sunā.ī tak nahīñ detā
tire dīvānoñ ne vo dhuum gulshan meñ machā.ī hai
dil-e-āshiq meñ ho ai 'mashriqī' gar jazb-e-dil kāmil
vo but phir kyuuñ na maa.il ho koī ghar kī ḳhudā.ī hai
Top Urdushayar.com