Sardar Genda Singh Mashriqi

teri mahfil mein jitne ai sitam-gar jaane wale hain

Sardar Genda Singh Mashriqi

terī mahfil meñ jitne ai sitam-gar jaane vaale haiñ
hamīñ haiñ ek un meñ jo tirā ġham khāne vaale haiñ
adam ke jaane vaalo dauḌte ho kis liye Thahro
zarā mil ke chalo ham bhī vahīñ ke jaane vaale haiñ
safā.ī ab hamārī aur tumhārī ho to kyuuñ kar ho
vahī dushman haiñ apne jo tumheñ samjhāne vaale haiñ
kise ham dost samjheñ is jahāñ meñ aur kise dushman
ki jo samjhāne vaale haiñ vahī bahkāne vaale haiñ
maraz baḌh jaa.e jis se ai tabīb ab vo davā denā
sunā hai aaj vo merī ḳhabar ko aane vaale haiñ
na sunte haiñ kisī kī aur muñh se baat karte haiñ
ḳhudā jaane musāfir ye kahāñ ke jaane vaale haiñ
tire bīmār kab khā.eñ davā parhez kyā jāneñ
ye haiñ ḳhūn-e-jigar piite ye ġham ke khāne vaale haiñ
qayāmat tak na vo ai 'mashriqī' manzil pe pahuñcheñge
ḳhayālī ghoḌe jo maidān meñ dauḌāne vaale haiñ
Top Urdushayar.com