Sardar Genda Singh Mashriqi

wusat-e-bahr-e-ishq kya kahiye

Sardar Genda Singh Mashriqi

vus.at-e-bahr-e-ishq kyā kahiye
ibtidā ho to intihā kahiye
tere jaur-o-jafā ko kyā kahiye
naaz kahiye unheñ adā kahiye
us sitamgar ko or kyā kahiye
saare jhūToñ kā peshvā kahiye
pūchhnā chāhiye tabīboñ se
dard-e-dil kī hai ye davā kahiye
ham bhī muñh meñ zabān rakhte haiñ
kuchh samajh kar burā bhalā kahiye
ġhairoñ ke sāmne bulā ke mujhe
kahte haiñ dil kā mudda.ā kahiye
na koī yaar hai na hai ġham-ḳhvār
kis se ab dil kā mājrā kahiye
piite haiñ jo sharāb masjid meñ
aise logoñ ko pārsā kahiye
sharm kyā hai mujhe jo kahnā ho
sāmne sab ke barmalā kahiye
vo jafā-gar falak sitamgar hai
kise achchhā kise burā kahiye
ġhair saath aap ke maze lūTeñ
ham uThā.eñ jafā.eñ kyā kahiye
bhuul kar le gayā sū-e-manzil
aise rahzan ko rahnumā kahiye
chaar agar yaar haiñ to das dushman
raaz dil kā na jā-ba-jā kahiye
jaan se gar gayā koī āshiq
ishq kī is ko ibtidā kahiye
kyā yahī shart hai mohabbat kī
be-vafāoñ ko bā-vafā kahiye
shaiḳh piite haiñ jo mai-e-ulfat
us ko kis tarah nāravā kahiye
dil kā siine kā aur jigar kā haal
hai ye vājib judā judā kahiye
haal sunte nahīñ mirā na suno
apne dil kā to mājrā kahiye
'mashriqī' chhoḌiye butoñ kā zikr
sub.h uTh kar ḳhudā ḳhudā kahiye
Top Urdushayar.com