Umair Najmi

meri bhanwon ke ain darmiyan ban gaya

Umair Najmi

Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan

1986
mirī bhañvoñ ke ain darmiyān ban gayā
jabīñ pe intizār kā nishān ban gayā
sunā huā thā hijr mustaqil tanāv hai
vahī huā mirā badan kamān ban gayā
muhīb chup meñ āhaToñ kā vāhima havā
maiñ sar se paañv tak tamām kaan ban gayā
havā se raushnī se rābta nahīñ rahā
jidhar thiiñ khiḌkiyāñ udhar makān ban gayā
shurūa din se ghar maiñ sun rahā thā is liye
sukūt merī mādarī zabān ban gayā
aur ek din khiñchī huī lakīr miT ga.ī
gumāñ yaqīñ banā yaqīñ gumān ban gayā
ka.ī ḳhafīf ġham mile malāl ban ga.e
zarā zarā sī katranoñ se thaan ban gayā
mire baḌoñ ne ādatan chunā thā ek dasht
vo bas gayā 'rahīm' yār-ḳhān ban gayā
Top Urdushayar.com