Akmal Imaam

jab se qiston mein baT gaya hun main

Akmal Imaam

jab se qistoñ meñ baT gayā huuñ maiñ
apne mehvar se haT gayā huuñ maiñ
jab shanāsā na mil sakā koī
apnī jānib palaT gayā huuñ maiñ
merā saaya bhī baḌh gayā mujh se
is salīqe se ghaT gayā huuñ maiñ
mil ga.e jo bhī mutma.in lamhe
un se fauran lipaT gayā huuñ maiñ
raushnī jab baḌhī mirī jānib
do-qadam pīchhe haT gayā huuñ maiñ
aarzū Tiis karb tanhā.ī
ḳhud meñ kitnā simaT gayā huuñ maiñ
apnī pahchān ho ga.ī mushkil
gard meñ itnā aT gayā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com