Makhmoor Jalandhari

hum aql pe ulfat mein bharosa nahin karte

Makhmoor Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1915-1979
ham aql pe ulfat meñ bharosā nahīñ karte
jab karte haiñ kuchh kaam to sochā nahīñ karte
ḳhud jāgte haiñ rakhte haiñ tāroñ ko bhī bedār
be-kār shab-e-hijr guzārā nahīñ karte
vo jin ko yaqīñ husn-e-daraḳhshāñ pe hai apne
kyuuñ dil ke añdhere meñ ujālā nahīñ karte
ham dekhte haiñ roz mah-o-mehr kā jalva
kis roz tire ruḳh kā tamāshā nahīñ karte
vo jin kī nigāhoñ meñ hai nāmūs-e-mohabbat
be-parda bhī ho koī to dekhā nahīñ karte
ġham kyā mutahammil jo nahīñ merī nazar ke
vo mere tasavvur se to pardā nahīñ karte
haiñ naam se 'maḳhmūr' ke mash.hūr-e-zamāna
go ham kabhī shaġhl-e-mai-o-mīnā nahīñ karte
Top Urdushayar.com