Islam Uzma

pas-e-diwar zindan zindagi maujud rahti hai

Islam Uzma

pas-e-dīvār zindāñ zindagī maujūd rahtī hai
añdherī raat meñ bhī raushnī maujūd rahtī hai
sar-e-darbār-o-maqtal ek sā mausam anā kā hai
garāñ sar meñ hamesha sar-kashī maujūd rahtī hai
ravāñ rakhte haiñ ham ko dasht-e-dariyā dhuup darvāze
sarāboñ se safar meñ tishnagī maujūd rahtī hai
nazar se joḌ rakhtā hai ye dil aise bhī nazzāre
ki ba.ad-az-marg bhī hairāngī maujūd rahtī hai
bahut āsān rāheñ bhī bahut āsāñ nahīñ hotīñ
sabhī rastoñ meñ thoḌī gumrahī maujūd rahtī hai
mirī sochoñ meñ yuuñ rach bas ga.e haiñ shabnamī mausam
tavātur se tah-e-mizhgāñ namī maujūd rahtī hai
talātum meñ sadā rahtī haiñ kirneñ husn-e-tābāñ kī
nasīb-e-dushmanāñ kuchh barhamī maujūd rahtī hai
nikal paatā nahīñ maiñ kūcha-e-be-nām se 'azmī'
ki asbāb-e-safar meñ kuchh kamī maujūd rahtī hai
Top Urdushayar.com