Islam Uzma

sang aata hai koi jab mere sar ki jaanib

Islam Uzma

sañg aatā hai koī jab mire sar kī jānib
dekh letā huuñ samar-bār shajar kī jānib
is masāfat kā koī ant nahīñ hai lekin
din nikalte hī maiñ chal paḌtā huuñ ghar kī jānib
kis ne āvāz mujhe sāhil-e-jāñ se dī hai
naav kyuuñ dil kī lapaktī hai bhañvar kī jānib
qissa-e-shauq ko us tishna-labī kā likhnā
kar ke ik aur safar shahr-e-hunar kī jānib
phir se añgāroñ kā mausam mire andar utrā
phir baḌhā haath mirā la.al-o-gohar kī jānib
ye jo hai sūrat-e-hālāt badal saktī hai
kaash kar paañv safar ḳhair se shar kī jānib
ain mumkin hai ki pathrātā na koī 'azmī'
tū ne dekhā hī nahīñ muḌ ke nagar kī jānib
Top Urdushayar.com