tah  meñ  jo  rah  ga.e  vo  sadaf  bhī  nikāliye
tuġhyāniyoñ  kā  haath  samundar  meñ  Dāliye
apnī  hadoñ  meñ  rahiye  ki  rah  jaa.e  aabrū
uupar  jo  dekhnā  hai  to  pagḌī  sambhāliye
ḳhushbū  to  muddatoñ  kī  zamīñ-doz  ho  chukī
ab  sirf  pattiyoñ  ko  havā  meñ  uchhāliye
sadiyoñ  kā  farq  paḌtā  hai  lamhoñ  ke  pher  meñ
jo  ġham  hai  aaj  kā  use  kal  par  na  Tāliye
aayā  hī  thā  abhī  mire  lab  pe  vafā  kā  naam
kuchh  dostoñ  ne  haath  meñ  patthar  uThā  liye
kah  do  salīb-e-shab  se  ki  apnī  manā.e  ḳhair
ham  ne  to  phir  charāġh  saroñ  ke  jalā  liye
duniyā  kī  nafrateñ  mujhe  qallāsh  kar  ga.iiñ
ik  pyaar  kī  nazar  mire  kaase  meñ  Dāliye
mahsūs  ho  rahā  hai  kuchh  aisā  mujhe  'qatīl'
nīndoñ  ne  jaise  aaj  kī  shab  par  lagā  liye