tamām  shahr  meñ  koī  bhī  rū-shanās  na  thā
ḳhatā  yahī  thī  ki  lahja  pur-iltimās  na  thā
phir  us  ne  kis  liye  rakkhe  havā  pe  apne  qadam
vo  gard  gard  thā  sūkhe  laboñ  kī  pyaas  na  thā
maiñ  apne  aap  luTā  āsmāñ  kī  ḳhvāhish  se
zamīñ  kā  chehra  mirī  niiñd  se  udaas  na  thā
ye  kis  ne  aañkh  ko  nañgā  kiyā  hai  dariyā  meñ
mahaktī  ret  pe  koī  bhī  be-libās  na  thā
udaas  ho  ke  sajā  carnas  ke  patthar  par
zamīñ  pe  TuuT  ke  girtā  maiñ  vo  glass  na  thā