zahr-e-sā.at  hī  piyeñ  jism  tah-e-ḳhāk  to  ho
sard  ā.ankhoñ  meñ  koī  ḳhvāhish-e-nāpāk  to  ho
ham  bhī  raushan  hoñ  utāreñ  ye  gunāhoñ  kā  libās
tū  baraste  hue  paanī  kī  tarah  paak  to  ho
munjamid  ḳhuun  ragoñ  kā  hai  ise  pī  jaa.eñ
raat  kā  zaḳhm-e-siyah-rañg  jigar-chāk  to  ho
jism-e-ḳhākī  se  bhī  tanvīr  kā  rishta  hai  zarūr
surḳh  sho.aloñ  se  lipaT  jā  ḳhas-o-ḳhāshāk  to  ho
aaj  phir  zehn  kī  shāḳhoñ  pe  haiñ  sho.aloñ  ke  gulāb
chashm-e-sañg  un  ko  bhī  dekhe  zarā  namnāk  to  ho