Basheer Ahmad Shad

hum jaan ke unki mahfil mein aghyar ki baaten karte hain

Basheer Ahmad Shad

ham jaan ke un kī mahfil meñ aġhyār kī bāteñ karte haiñ
phūloñ ko satāne kī ḳhātir ham ḳhaar kī bāteñ karte haiñ
kuchh log gulāboñ kī sūrat kāñToñ se guzāra karte haiñ
mahrūm-e-mohabbat ho kar bhī vo pyaar kī bāteñ karte haiñ
kaliyoñ ko chaTaktā dekh ke jo bijlī ko pukārā karte the
ab raakh uḌā kar log vahī gulzār kī bāteñ karte haiñ
afsos hai un insānoñ par jo chand nivāloñ kī ḳhātir
shāhoñ ke qasīde likhte haiñ sarkār kī bāteñ karte haiñ
dekhā hai jab se phūloñ ne ai jaan tumhāre chehre ko
aapas meñ tumhāre hoñToñ kī ruḳhsār kī bāteñ karte haiñ
jo saarī umr fasīloñ meñ sūraj kī shuāoñ ko tarse
vo log hamīñ se kūche kī bāzār kī bāteñ karte haiñ
jo raat ko apne saath liye aa.e the shahr kī galiyoñ meñ
ab nuur ke taḌke sub.hoñ ke āsār kī bāteñ karte haiñ
vo zinda thā to koī bhī pursān-e-hāl na thā us kā
ab kitne shauq se log usī bīmār kī bāteñ karte haiñ
Top Urdushayar.com