ḳhvāb  ta.abīr  meñ  badaltā  hai
us  meñ  lekin  zamāna  lagtā  hai
jab  use  chāhateñ  mayassar  hoñ
ḳhud-baḳhud  aadmī  badaltā  hai
pahle  ye  dil  kahāñ  dhaḌaktā  thā
ab  har  ik  baat  par  dhaḌaktā  hai
haañ  mirī  ḳhvāhisheñ  ziyāda  haiñ
haañ  vo  is  baat  ko  samajhtā  hai
sar-ba-sar  vasl  kī  tamannā  meñ
vo  badan  ruuh  meñ  utartā  hai
raat  bhī  ban-sañvar  ke  aatī  hai
din  bhī  utrā  ke  ab  nikaltā  hai
ho  ke  said-e-ġham-e-jahāñ  ye  khulā
ġham  se  ik  rāsta  nikaltā  hai