vo  jo  ek  chehra  damak  rahā  hai  jamāl  se
use  mil  rahī  hai  ḳhushī  kisī  ke  ḳhayāl  se
maiñ  ne  sirf  ek  hī  dā.ere  meñ  safar  kiyā
kabhī  be-niyāz  bhī  kar  mujhe  mah-o-sāl  se
kabhī  hañs  ke  ḳhud  hī  gale  se  us  ko  lagā  liyā
kabhī  ro  diye  haiñ  lipaT  ke  ḳhud  hī  malāl  se
tujhe  kyā  ḳhabar  ki  vo  kaun  hai  sar-e-rahguzar
kabhī  sarsarī  na  guzar  kisī  ke  savāl  se
vo  jo  muskurā  ke  guzar  rahā  hai  qarīb  se
use  āshnā.ī  zarūr  hai  mere  haal  se
mujhe  aasrā  bhī  nahīñ  kisī  kī  duāoñ  kā
mujhe  ḳhauf  aatā  hai  yuuñ  bhī  vaqt-e-zavāl  se
'yashab'  apne  aap  se  mil  ke  kitnā  bhalā  lagā
mujhe  fursateñ  hī  nahīñ  milīñ  ka.ī  saal  se