aisā  bhī  nahīñ  dard  ne  vahshat  nahīñ  kī  hai
is  ġham  kī  kabhī  ham  ne  ishā.at  nahīñ  kī  hai
jab  vasl  huā  us  se  to  sarshār  hue  haiñ
aur  hijr  ke  mausam  ne  ri.āyat  nahīñ  kī  hai
jo  tū  ne  diyā  us  meñ  izāfa  hī  huā  hai
is  dard  kī  daulat  meñ  ḳhayānat  nahīñ  kī  hai
ham  ne  bhī  abhī  khol  ke  rakkhā  nahīñ  dil  ko
tū  ne  bhī  kabhī  khul  ke  vazāhat  nahīñ  kī  hai
is  shahr-e-badan  ke  bhī  ajab  hote  haiñ  manzar
lagtā  hai  abhī  tum  ne  siyāhat  nahīñ  kī  hai
is  arz-e-tamannā  meñ  kise  chain  milā  hai
dil  ne  magar  is  ḳhauf  se  hijrat  nahīñ  kī  hai
ye  dil  ke  ujaḌne  kī  alāmat  na  ho  koī
milne  pe  ghaḌī-bhar  ko  bhī  hairat  nahīñ  kī  hai