dard  kī  lahar  thī  guzar  bhī  ga.ī
us  ke  hamrāh  chashm-e-tar  bhī  ga.ī
ik  ta.alluq  sā  thā  so  ḳhatm  huā
baat  thī  zehn  se  utar  bhī  ga.ī
ham  abhī  soch  hī  meñ  baiThe  haiñ
aur  vo  aañkh  kaam  kar  bhī  ga.ī
hijr  se  kam  na  thī  visāl  kī  rut
aa.ī  bechain  sī  guzar  bhī  ga.ī
zabt  kā  hausla  bahut  thā  magar
us  ne  pūchhā  to  aañkh  bhar  bhī  ga.ī