ta.alluq  us  se  agarche  mirā  ḳharāb  rahā
qasam  safar  kī  vahī  ek  ham-rikāb  rahā
samajh  sakā  na  use  maiñ  qusūr  merā  hai
ki  mere  sāmne  to  vo  khulī  kitāb  rahā
maiñ  ek  lafz  bhī  lekin  na  paḌh  sakā  us  ko
agarche  vo  bhī  mirā  shāmil-e-nisāb  rahā
maiñ  ma.arifat  ke  huuñ  ab  us  maqām  par  ki  jahāñ
kiyā  gunāh  bhī  to  ḳhadsha-e-savāb  rahā
haqīqatoñ  se  mafar  chāhī  thī  'yashab'  maiñ  ne
par  asl  asl  rahā  aur  ḳhvāb  ḳhvāb  rahā