kamāl-e-shauq-e-safar  bhī  udhar  hī  jaatā  hai
kisī  safar  kā  musāfir  ho  ghar  hī  jaatā  hai
vo  aadmī  hī  to  hotā  hai  ġham  kī  shiddat  se
hazār  koshisheñ  kar  le  bikhar  hī  jaatā  hai
vo  hijr  ho  ki  tire  vasl  kā  koī  lamha
vo  mustaqil  nahīñ  hotā  guzar  hī  jaatā  hai
jo  is  se  pahle  bhī  shīshe  meñ  baal  aayā  ho
to  dil  kisī  na.ī  ulfat  se  Dar  hī  jaatā  hai
chaḌhā  huā  koī  dariyā  ho  yā  ki  nashsha  ho
'yashab'  kabhī  na  kabhī  to  utar  hī  jaatā  hai