jab  se  asīr-e-zulf-e-girah-gīr  ho  gayā
meñ  be-niyāz-e-halqa-e-zanjīr  ho  gayā
jaatā  kahāñ  bhalā  tirī  mahfil  ko  chhoḌ  kar
maiñ  apne  aap  paañv  kī  zanjīr  ho  gayā
nūr-e-jahāñ  koī  na  koī  yuuñ  to  sab  kī  thī
daulat  se  ek  shaḳhs  jahāñgīr  ho  gayā
mujh  meñ  rachī  huī  tirī  ḳhushbū  thī  is  liye
baḌh  kar  adū  bhī  mujh  se  baġhal-gīr  ho  gayā
phir  bāñdh  lī  kisī  se  ummīd-e-vafā  'qatīl'
phir  ik  mahal  havāoñ  meñ  ta.amīr  ho  gayā