zindagānī  sarāb  kī  sī  tarah
bād-bandī  hubāb  kī  sī  tarah
tujh  upar  ḳhuun  be-gunāhoñ  kā
chaḌh  rahā  hai  sharāb  kī  sī  tarah
kaun  chāhegā  ghar  basar  tujh  ko
mujh  se  ḳhāna-ḳharāb  kī  sī  tarah
Tuk  ḳhabar  le  ki  tere  hāthoñ  siiñ
jal  rahā  huuñ  kabāb  kī  sī  tarah