jalte  the  tum  kuuñ  dekh  ke  ġhair  anjuman  meñ  ham
pahuñche  the  raat  sham.a  ke  ho  kar  baran  meñ  ham
tujh  bin  jagah  sharāb  kī  piite  the  dam-ba-dam
piyāle  siiñ  gul  ke  ḳhuun  jigar  kā  chaman  meñ  ham
laate  nahīñ  zabān  pe  āshiq  diloñ  kā  bhed
karte  haiñ  apnī  jaan  kī  bāteñ  nayan  meñ  ham
marte  haiñ  jaan  ab  to  nazar  bhar  ke  dekh  lo
jiite  nahīñ  raheñge  sajan  is  yathan  meñ  ham
aatī  hai  us  kī  bū  sī  mujhe  yāsman  meñ  aaj
dekhī  thī  jo  adā  ki  sajan  ke  badan  meñ  ham
jo  kui  ki  haigā  aap  kuuñ  rakhtā  hai  aap  aziiz
yūsuf  haiñ  apne  dil  ke  miyāñ  pairahan  meñ  ham
kyuuñ  kar  na  hove  click  hamārā  guhar-fishāñ
karte  haiñ  'ābrū'  ye  taḳhallus  suḳhan  meñ  ham