Abroo Shah Mubarak

kyun band sab khule hain kyun chir aTpaTa hai

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733

kyuuñ band sab khule haiñ kyuuñ chiir aTpaTā hai

kyā qatl kuuñ hamāre ab ThāTh yuuñ ThaThā hai

is vaqt meñ pyāre ham kuuñ sharāb diije

dekho to kyā huā hai rījho to kyā ghaTā hai

birhan ke nain ro ro jogī baran hue haiñ

kājar bhabhūt anjhū maalā palak jaTā hai

ḳhvāh lāThiyoñ siiñ maaro ḳhvāh ḳhaak meñ lathāḌo

āshiq dil piyāre chaugān baTā hai

lab kuuñ añkhiyoñ kuuñ mukh kuuñ bar kuuñ kamar kuuñ qad kuuñ

in sab ko chāhtā hai TukḌe ho dil baTā hai

sāmān-e-aish ham kuuñ asbāb-e-ġham hue haiñ

ḳhūn-e-jigar hai sahbā baḳht-e-siyah ghaTā hai

kyā rañg hai tumhāre ruḳhsār sirījan

jis par nazar kare siiñ gul jigar phaTā hai

āshiq 'ābrū' hai ḳhvārī meñ jaan denā

nāmard vo kahāve jo ishq siiñ haTā hai

Top Urdushayar.com