Abroo Shah Mubarak

tira-rangon ke hua haq mein ye tap karna dawa

Abroo Shah Mubarak

Lucknow, Uttar pradesh, India

1685-1733
tīra-rañgoñ ke huā haq meñ ye tap karnā davā
tīrgī jaatī rahī chehre kī aur upchī safā
kyā sabab tere badan ke garm hone kā sajan
āshiqoñ meñ kaun jaltā thā gale kis ke lagā
tū gale kis ke lage lekin kinhī be-rahm ne
garm dekhā ho.egā tere ta.iiñ añkhiyāñ milā
bul-havas nāpāk kī az-bas-ki bhārī hai nazar
parda-e-ismat meñ tū apne ta.iiñ us siiñ chhupā
ashk-e-garm o āh-e-sard āshiq ke ta.iiñ vasvās kar
ḳhuub hai parhez jab ho muḳhtalif āb-o-havā
garm-ḳhūī siiñ pashemāñ ho ke Tuk laao araq
tap kī hālat meñ pasīnā aavnā ho hai bhalā
dil mirā ta.avīz ke juuñ le ke apne paas rakh
to tufail-e-hazrat-e-āshiq ke ho tujh kuuñ shifā
tursh-goī chhoḌ de aur talḳh-goī tark kar
aur khānā jo ki ho ḳhushkā tarī so kar ġhizā
'bū-alī' hai nabz-dānī meñ butāñ kī 'ābrū'
us kā is fan meñ jo nusḳha hai so hai ik kīmiyā
Top Urdushayar.com