tīra-rañgoñ  ke  huā  haq  meñ  ye  tap  karnā  davā
tīrgī  jaatī  rahī  chehre  kī  aur  upchī  safā
kyā  sabab  tere  badan  ke  garm  hone  kā  sajan
āshiqoñ  meñ  kaun  jaltā  thā  gale  kis  ke  lagā
tū  gale  kis  ke  lage  lekin  kinhī  be-rahm  ne
garm  dekhā  ho.egā  tere  ta.iiñ  añkhiyāñ  milā
bul-havas  nāpāk  kī  az-bas-ki  bhārī  hai  nazar
parda-e-ismat  meñ  tū  apne  ta.iiñ  us  siiñ  chhupā
ashk-e-garm  o  āh-e-sard  āshiq  ke  ta.iiñ  vasvās  kar
ḳhuub  hai  parhez  jab  ho  muḳhtalif  āb-o-havā
garm-ḳhūī  siiñ  pashemāñ  ho  ke  Tuk  laao  araq
tap  kī  hālat  meñ  pasīnā  aavnā  ho  hai  bhalā
dil  mirā  ta.avīz  ke  juuñ  le  ke  apne  paas  rakh
to  tufail-e-hazrat-e-āshiq  ke  ho  tujh  kuuñ  shifā
tursh-goī  chhoḌ  de  aur  talḳh-goī  tark  kar
aur  khānā  jo  ki  ho  ḳhushkā  tarī  so  kar  ġhizā
'bū-alī'  hai  nabz-dānī  meñ  butāñ  kī  'ābrū'
us  kā  is  fan  meñ  jo  nusḳha  hai  so  hai  ik  kīmiyā